Mohammad Rafi
Zindagi Kya Hai Gham Ka Dariyaa Hai
in Pyar Kiya To Darna Kya
LYRIC
Zindagi kya hai gham ka dariya hai
Na jeena yahan bas mein na marna yahan bas mein
Ajab duniya hai
Zindagi kya hai…
Haaye re woh insaan ke jisko gham ki nazar lag jaaye
Chupke-chupke aahein bhare aur munh se na kuchh keh paaye
Dil apna hansta hai khud par (aur kabhi rota hai) -2
Zindagi kya hai…
Jhoothi hain duniya ki baharein rang hain saare kachche
Waqt pade to thaam lein daaman phool se kaante achchhe
Is gulshan mein kadam-kadam par ek (nayaa dhokha hai) -2
Zindagi kya hai…
Jab insaan akela tha to dukh bhi na the jeevan mein
Paya jab hamaraahi usne doob gaya uljhan mein
Yeh duniya hai begaanon ki kaun (yahaan apna hai) -2
Zindagi kya hai…