Moin Sabri

Zardozi Lamhe

in Revolver Rani

LYRIC

Zardozi lamhe oadh ke dil
Gam saare peechhe chhod ke dil
Behne de hawaon mein jo behna chahta hai
Kehne de suroor mein jo kehna chahta hai

Naya nahi lekin, naya lage yeh din
Naya nahin lekin, naya lage ye din..
Zardozi lamhe oadh ke dil

Koi kachchi umar ka

Naya nahi lekin, naya lage yeh din
Naya nahin lekin, naya lage ye din..
Zardozi lamhe oadh ke dil

Aankhon ki munder se
Dil ke aasman tak
Koi nahin hai teesra..
Khwabon ki wadiyaan
Khwabon ke mor hain
Khwabon ki hai aab-o-hawa
Khone de yun khwab mein
Jo khona chahta hai
Hone de dhuaan dhuaan
Jo hona chahta hai

Naya nahi lekin, naya lage yeh din
Naya nahin lekin, naya lage ye din..
Zardozi lamhe oadh ke dil

Aa… Aa…

Khaali ho gaya hai dil
Bhar gayi hain dhadkane
Sazish hai ya hai yeh saza..
Chaal tez thi magar
Peechhe reh gaye kadam
Aakhir hai kya yeh mazra
Thagne de yun zindagi
Jo thagna chahti hai
Lagne de jo chot dil pe
Lagna chahti hai

Naya nahi lekin, naya lage yeh din
Naya nahin lekin, naya lage ye din..

Zardozi lamhe odh ke dil
Gam saare peechhe chhod ke dil
Behne de hawaon mein jo behna chahta hai
Kehne de suroor mein jo kehna chahta hai

Naya nahi lekin, naya lage yeh din
Naya nahin lekin, naya lage ye din..
Zardozi lamhe oadh ke dil