Hemant Kumar
Zara Nazron Se Kah Do Ji
in Bees Saal Baad
LYRIC
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji
Maza jab hai tumhari har ada
Qaatil hi kahalaye
Zara nazron se kah do ji
Qaatil tumhein pukarun ke
Jaan-e-wafa kahun
Hairat mein pad gaya hoon
Ke main tumko kya kahun
Zamana hai tumhara
Zamana hai tumharaChahe jiski zindagi le lo
Agar mera kaha maano
To aise khel na khelo
Zamana hai tumhara
Chahe jiski zindagi le lo
Agar mera kaha maano
To aise khel na khelo
Tumhari is shararat se
Na jaane kiski maut aaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji
Haaye kitni masoom lag rahi ho tum
Tumko zaalim kahe woh jhootha hai
Yeh bholapan tumhara
Yeh bholapan tumhara
Yeh shararat aur yeh shokhi
Zaroorat kya tumhein
Talwaar ki teeron ki khajar ki
Yeh bholapan tumhara
Yeh shararat aur yeh shokhi
Zaroorat kya tumhein
Talwaar ki teeron ki khajar ki
Nazar bhar ke jise tum dekh lo
Woh khud hi mar jaaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji
Hum pe kyon is kadar bigadti ho
Chhedne wale tumko aur bhi hain
Baharon par karo gussa
Ulajhti hain jo aankhon se
Hawaon par karo gussa
Jo takarati hain zulfon se
Baharon par karo gussa
Ulajhti hain jo aankhon se
Hawaon par karo gussa
Jo takarati hain zulfon se
Kahin aisa na ho
Koyi tumhara dil bhi le jaaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji
Maza jab hai tumhari har ada
Qaatil hi kahalaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji