Anuradha Paudwal, Babul Supriyo

Yeh Sama Yeh Nazare

in Dhaai Akshar Prem Ke

LYRIC

Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Hum kasam se tumhare ho gaye hain
Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Hum kasam se tumhare ho gaye hain

Rehta hai dil jaane kahan
Betaab se hum hain yahan
Zubaan pe in labon pe
Bas tera naam hai

Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Hum kasam se tumhare ho gaye hain

Aji tumse jab se mohabbat huyi
Hamari ajab si yeh haalat huyi
Aji tumse jab se mohabbat huyi
Hamari ajab si yeh haalat huyiTumne khata ki dil lootne ki
Tumko mili hai iski saza

Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Hum kasam se tumhare ho gaye hain

Dua mein tumhein mangna aa gaya
Humein raat bhar jaagna aa gaya
Dua mein tumhein mangna aa gaya
Humein raat bhar jaagna aa gaya
Sach keh rahe hain darde jigar ka
Hota hai dilbar apna maza haan

Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Hum kasam se tumhare ho gaye hain

Humein baajuon mein chhupa lo sanam
Yeh chahat hai kaisi batao sanam
Humein baajuon mein chhupa lo sanam
Yeh chahat hai kaisi batao sanam
Dar lag raha hai mad-hoshiyon mein
Hum kar na baithein koyi khata

Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Hum kasam se tumhare ho gaye hain
Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Hum kasam se tumhare ho gaye hain

Rehta hai dil jaane kahan
Betaab se hum hain yahan
Zubaan pe in labon pe
Bas tera naam hai
Begaane is jahan se
Kya humein kaam hai

Yeh sama yeh nazare kho gaye hain
Haan hum kasam se tumhare ho gaye hain