Mohammad Rafi, Balbir
Yeh Mana Meri Jaan Mohabbat Saza Hai
in Hanste Zakhm
LYRIC
Haaye tauba tauba yeh jawani
Yeh jawani ka guroor
Ishq ke samne sar phir bhi
Jhukana hi pada
Kaisa kehte the na aayenge
Na aayenge magar
Dil ne is tarah pukara
Tumhein aana hi pada
Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Woh ik bekaraari jo ab tak idhar thi
Wohi bekaraari udhar kis liye hai
Abhi tak to idhar thi udhar kis liye hai
Kis liye hai haan kis liye haiHaan yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Behalna na jaane badalna na jaane
Tamanna machal ke sambhalna na jaane
Haan tamanna machal ke sambhalna na jaane
Behalna na jaane aaha badalna na jaane
Haye tamanna machal ke sambhalna na jaane
Ho ho ho behalna na jaane badalna na jaane
Tamanna machal ke sambhalna na jaane
Haan tamanna machal ke sambhalna na jaane
Kareeb aur aao kadam to badhao
Jhuka doon na main sar to sar kis liye hai
Jhuka doon na main sar to sar kis liye hai
Yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Nazaare bhi dekhe ishaare bhi dekhe
Kayi khoobsurat sahare bhi dekhe
Haan kayi khoobsurat sahare bhi dekhe
Nazaare bhi dekhe ishaare bhi dekhe
Kayi khoobsurat haan sahare bhi dekhe
Naam kya cheez hai izzat kya hai
Sone chaandi ki hakeeqat kya hai
Lakh behlaye koyi daulat se
Pyar ke saamne daulat kya hai
Ho ho ho
Nazaare bhi dekhe ishaare bhi dekhe
Haye kayi khoobsurat sahare bhi dekhe
Haan kayi khoobsurat sahare bhi dekhe
Jo maikhane jaake main sagar uthaun
To phir yeh nasheeli nazar kis liye hai
To phir yeh nasheeli nazar kis liye hai
Haan yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Tumhi ne sanwara tumhi ne sajaya
Mere soone dil ko tumhi ne basaya
Haan mere soone dil ko tumhi ne basaya
Tumhi ne sanwara tumhi ne sajaya
Mere soone dil ko tumhi ne basaya
Jis chaman se bhi tum ghuzar jao
Har kali par nikhaar aa jaaye
Rooth jao to rooth jaaye khuda
Aur jo hans do bahaar aa jaaye
Ho ho ho tumhi ne sanwara tumhi ne sajaya
Haye mere soone dil ko tumhi ne basaya
Haan mere soone dil ko tumhi ne basaya
Tumhare kadam se hai ghar mein ujala
Agar tum nahi to yeh to ghar kis liye hai
Agar tum nahi to yeh ghar kis liye hai
Haan yeh mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza ismein itna magar kis liye hai
Woh ik bekaraari jo ab tak idhar thi
Wohi bekaraari udhar kis liye hai
Wohi bekaraari udhar kis liye hai