Mohammed Rafi
Yahan Main Ajnabi Hoon
in Jab Jab Phool Khile
LYRIC
Kabhi pehle dekha nahi yeh sama
Yeh main bhool se aa gaya hoon kahan
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Main jo hoon bas wahi hoon
Main jo hoon bas wahi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Kahan shaam-o-sehar yeh
Kahan din-raat mere
Bahut ruswa huye hain
Yahan jazbaat mere
Nayi tehzeeb hai yeh
Naya hai yeh zamana
Magar main aadmi hoon
Wahin sadiyon purana
Main kya jaanu yeh baatein
Zara insaaf karna
Meri gustakhiyon ko
Kudara maaf karna
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Teri baahon mein dekhun
Sanam ghairon ki baahein
Main launga kahan se
Bhala aisi nigahein
Yeh koyi raqs hoga
Koyi dastoor hoga
Mujhe dastoor aisa
Kahan manzoor hoga
Bhala kaise yeh mera
Lahu ho jaaye paani
Main kaise bhool jaaun
Main hoon Hindustani
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Mujhe bhi hai shikayat
Tujhe bhi to gila hai
Yehi shikwe hamari
Mohabbat ka sila hain
Kabhi magarib se mashrik
Mila hai jo milega
Jahan ka phool hai jo
Wahin pe woh khilega
Tere unche mehal mein
Nahi mera ghuzara
Mujhe yaad aa raha hai
Woh chhota sa shikara
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Main jo hoon bas wahi hoon
Main jo hoon bas wahi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon