K.S. Chitra, Udit Narayan

Yaaron Sun Lo Zara

in Rangeela

LYRIC

Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Jeena ho to apun ke jaise hi jeena

Gaadi bangla nahi na sahi na sahi
Bank balance nahi na sahi na sahi
TV video nahi na sahi na sahi
Suiting shirting nahi na sahi na sahi
Inki humko kyon fikar
Jee lo jaise mast kalandar

Yaaron sun lo zara haan apna bhi kehna
Jeena ho to apun ke jaise hi jeena

Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
TV video agar hai to kya hai maza
Dressing dressing se kuchh aur hi thath hai
Inki kar lo kuchh to kadar
Yaaron thoda jao sudhar

Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Jeena ho to apun ke jaise hi jeena

Humko dekho hum hain yaara
Apni marzi ke raja
Duniya bole to maza hai
Na kaho khud ko raja
Naam apun ka munna bhai
Hum karein woh jo dil mein samayi
Arre dhandha kiya na kiya kya fikar
Kaun aaya gaya duniya mein kya khabar
Iss duniya se tum jo rahe bekhabar
Kahin duniya tumhein na bhulaye

Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Jeena ho to apun ke jaise hi jeena

Kal ka kya hai kisne dekha
Hum to aaj mein jeete hain
Jinmein himmat hai nahi
Woh aisi baatein karte hain
Iski to tum baat na karna
Humko dada sub kehte hain
Arre sheron ke jaisa hai apna jigar
Uncha hi raha hai sada apna sar
Sar se zyada unchi rahe yeh nazar
Aasmaan phir to sar ko jhukaye

Yaaron sun lo zara haan apna bhi kehna
Jeena ho to apun ke jaise hi jeena

Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
TV video agar hai to kya hai maza
Dressing dressing se kuchh aur hi thath hai
Inki humko kyon fikar
Jee lo jaise mast kalandar

Yaaron sun lo zara haan apna yeh kehna
Hey jeena ho to apun ke jaise hi jeena