Lata Mangeshkar, Mukesh

Woh Chand Khila Woh Tare Hanse

in Anari

LYRIC

Woh chand khila woh tare hanse
Yeh raat ajab matwari hai
Woh chand khila woh tare hanse
Yeh raat ajab matwari hai
Samajhne wale samajh gaye hain
Na samjhe na samjhe woh anari hai

Woh chand khila woh tare hanse
Yeh raat ajab matwari hai

Chandi ki chamakti raahein
Woh dekho jhoom jhoom ke bulayein
Chandi ki chamakti raahein
Woh dekho jhoom jhoom ke bulayein

Kirno ne pasari baahein
Ke armaan naach naach lehrayein
Baaje dil ke taar gaayein yeh bahaar
Ubhre hai pyar jeevan mein
Baaje dil ke taar gaayein yeh bahaar
Ubhre hai pyar jeevan mein

Woh chand khila woh tare hanse
Yeh raat ajab matwari hai
Samajhne wale samajh gaye hain
Na samjhe na samjhe woh anari hai
Woh chand khila woh tare hanse
Yeh raat ajab matwari hai

Kirno ne chunariya taani
Bahaarein kispe aaj hain deewani
Kirno ne chunariya taani
Bahaarein kispe aaj hain deewani

Chanda ki chal mastani
Hai pagal jispe raat ki rani
Taaron ka jaal lele dil nikaal
Poochho na haal mere dil ka
Taaron ka jaal lele dil nikaal
Poochho na haal mere dil ka

Woh chand khila woh tare hanse
Yeh raat ajab matwari hai
Samajhne wale samajh gaye hain
Na samjhe na samjhe woh anari hai
Woh chand khila woh tare hanse
Yeh raat ajab matwari hai