Mahendra Jaiswal

Tumhare Ye Nakhre Tumhari Shararat

in Kahin Din Kahin Raat

LYRIC

Tumhare ye nakhre tumhari shararat
Tumhare ye nakhre tumhari shararat
Mujhe to yakeen hai kabhi
Meri jaan leke rahenge
Tumhare ye nakhre

Ye hasne ka andaaz sabse juda
Kanwal jheel mein jaise khilta hua
Ye hasne ka andaaz sabse juda

Kahin bhi na dekha
Kahin bhi na dekha
Kahin bhi na paaya
Jahan mein tumhare siwa hoye

Tumhare ye nakhre tumhari shararat
Mujhe to yakeen hai kabhi
Meri jaan leke rahengeTumhare ye nakhre

Nazar mein jawani ki ye roshni
Ke paani pe hai khelti chandni
Nazar mein jawani ki ye roshni
Ke paani pe hai khelti chandni
Salamat raho tum
Salamat raho tum meri jaan jaaye
Yehi hai khuda se dua hoye

Tumhare ye nakhre tumhari shararat
Mujhe to yakeen hai kabhi
Meri jaan leke rahenge
Tumhare ye nakhre