Asha Bhosle
Tumhare Rooth Jane Se
in Rootha Na Karo
LYRIC
Tumhare rooth jane se
To dil bechain rehta hai
Jo tumne bewafai ki
Na jane haal kya hoga
Tumhare sath chalkar
Pyaar ki manzil pe aaye hain
Tumhare hath thaame
Pyaar ke saahil pe aaye hain
Mohabbat ki fizaon mein
To humne tumko pooja hai
Tumhara naam lekar
Pyaar ki mehfil mein aaye hain
Tumhare rooth jane se
To dil bechain rehta hai
Jo tumne bewafai ki
Na jane haal kya hoga
Humein itna yakeen hai
Tum hami se pyaar karte ho
Agar hum aah barte hain
To tum bhi aahein barte ho
Tumhare do thikane hain
Jahan par tumko dekha hai
Tumhare do thikane hain
Jahan par tumko dekha hai
Kabhi aankhon mein rehte ho
Kabhi dil se guzarte ho
Tumhare rooth jane se
To dil bechain rehta hai
Jo tumne bewafai ki
Na jane haal kya hoga