Mahendra Kapoor
Tumhara Chahne Wala
in Kahin Din Kahin Raat
LYRIC
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala
Yeh baat kaise ganwara karega dil mera
Tumhara zikra kisi aur ki zubaan pe ho
Tumhare husn ki taareef aaina bhi kare
Tumhare pyaar tumhari ada ka deewana
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Woh din na aaye ke mujhse kabhi juda hokar
Kisi ka pyaar dobara kahin talaash karo
Jhuka ke sar ko kisi ajnabi ke shaano par
Tum apne gham ka sahara kahin talaash karo
Kareeb dil ke tumhare kisi bhi haalat mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Tumhare dil ko kabhi mujhse koyi thes lage
Mujhe yakeen hai aisa kabhi nahi hoga
Mujhe wafaon pe apni bada bharosa hai
Tumhara pyaar hi de jaaye na kahin dhokha
Dua yeh hai ke tumhara khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare