Lata Mangeshkar, Udit Narayan

Tum Kya Mile Jaane Jaan

in Saatwan Aasman

LYRIC

Tum kya mile jaane jaan
Pyar zindagi se ho gaya
Tum kya mile jaane jaan
Pyar zindagi se ho gaya

Aji izzat afzaayi ka sukriya sukriya
Is nacheez ko aapne kaabil to samjha

Tum kya mile jaane jaan
Pyar zindagi se ho gaya

Hum to yeh samjhe the
Kahaani khatam huyi
Naaz humein tha jispe
Jawani khatam huyi

Hum to yeh samjhe the
Kahaani khatam huyiNaaz humein tha jispe
Jawani khatam huyi

Tera mera yeh saamna
Naye ik tufaan ki ibteda
Tum kya mile jaane jaan
Pyar zindagi se ho gaya

Sabse alag laaye hain
Likhwa ke takdeerein
Tod ke hum rakh denge
Rasmon ki zanjeerein

Sabse alag laaye hain
Likhwa ke takdeerein
Tod ke hum rakh denge
Rasmon ki zanjeerein

Darne se kya fayada
Likhein hum naya kayada
Tum kya mile jaane jaan
Pyar zindagi se ho gaya

Aji izzat afzaayi ka sukriya sukriya
Is nacheez ko aapne kaabil to samjha

Tum kya mile jaane jaan
Pyar zindagi se ho gaya
Tum kya mile jaane jaan
Pyar zindagi se ho gaya