Mohammed Rafi

Tujhko Pukare Mera Pyar

in Neel Kamal

LYRIC

Aaja aaja aaja
Aa aaja aaja

Tujhko pukare mera pyar ho
Tujhko pukare mera pyar
Aaja main to mita hoon
Teri chaah mein
Tujhko pukare mera pyar

Aakhiri pal hai aakhiri aahein

Saamne aaja ek baar
Aaja main to mita hoon
Teri chaah mein
Tujhko pukare mera pyar

Dono jahan ki bhent chadha diMaine chaah mein teri
Apne badan ki khaak mila di
Maine raah mein teri

Ab to chali aa is paar
Aaja main to mita hoon
Teri chaah mein
Tujhko pukare mera pyar hoye
Tujhko pukare mera pyar
Tujhko pukare mera pyar

Aaja aaja aaja aa

Tujhko pukare mera pyar ho
Tujhko pukare mera pyar
Aaja main to mita hoon
Teri chaah mein
Tujhko pukare mera pyar

Itne yugon tak itne dukhon ko
Koyi seh na sakega
Teri kasam mujhe tu hai kisi ki
Koyi keh na sakega

Mujhse hai tera ikraar hoye
Aaja main to mita hoon
Teri chaah mein
Tujhko pukare mera pyar hoye
Tujhko pukare mera pyar
Tujhko pukare mera pyar

Teri nazar ki oss pade to
Bujhe pyaas milan ki
Tere badan ki oat mite to
Rahe laaj lagan ki

Mil jaaye chain karaar hoye
Aaja main to mita hoon
Teri chaah mein
Tujhko pukare mera pyar hoye
Tujhko pukare mera pyar
Tujhko pukare mera pyar