Glenn John

Tu Jo Nahin Hai

in Woh Lamhe

LYRIC

Tu jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai
Yeh mana ki mehfil jawan hai, haseen hai
Tu jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai
Yeh mana ki mehfil jawan hai, haseen hai
Tu jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai

Mujhe phir tabaah kar, mujhe phir rula ja
Sitam karne wali, kahin se tu aaja
Mujhe phir tabaah kar, mujhe phir rula ja

Jidhar bhi yeh dekhein jahaan bhi yeh jaayeinTujhe dhoondhti hain yeh pagal nigahein
Jidhar bhi yeh dekhein jahaan bhi yeh jaayein
Tujhe dhoondhti hain yeh pagal nigahein
Yeh pagal nigahein
Main zinda hoon lekin kahan zindagi hai
Meri zindagi tu kahan kho gayi hai
Tu jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai
Yeh mana ki mehfil jawan hai, haseen hai
Tu jo nahin hai to kuchh bhi nahin hai