Mohammed Rafi
Tu Hindu Banega Na Musalman Banega
in Dhool Ka Phool
LYRIC
Tu hindu banega na musalman banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalman banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Accha hai abhi tak
Tera kuchh naam nahi hai
Tujko kisi mazhab se
Koyi kaam nahi hai
Accha hai abhi tak
Tera kuchh naam nahi hai
Tujko kisi mazhab se
Koyi kaam nahi hai
Jis ilm ne insanon ko takseem kiya hai
Us ilm ka tujh par koyi ilzaam nahi hai
Tu badle huye waqt ki pehchan banega
Insaan ki aulad hai insaan banegaTu hindu banega na musalman banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Maalik ne har insaan ko insaan banaya
Humne use hindu ya musalman banaya
Maalik ne har insaan ko insaan banaya
Humne use hindu ya musalman banaya
Kudrat ne to humein bakshi thi ek hi dharti
Humne kahin Bharat kahin Iran banaya
Jo tod de har bang woh tufaan banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalman banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Nafrat jo sikhaye
Woh dharam tera nahi hai
Insaan ko jo raunde
Woh dharam tera nahi hai
Nafrat jo sikhaye
Woh dharam tera nahi hai
Insaan ko jo raunde
Woh dharam tera nahi hai
Kuran na ho jismein
Woh mandir nahi tera
Geeta na ho jismein
Woh haram tera nahi hai
Tu aman ka aur sulah ka armaan banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalman banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Yeh deen yeh taajar
Yeh watan bechne wale
Watan bechane wale
Yeh deen yeh taajar
Yeh watan bechne wale
Watan bechane wale
Insaan ki lashon ke kafan bechne wale
Kafan bechne wale
Insaan ki lashon ke kafan bechne wale
Yeh mehalon mein baithe
Huye kaatil yeh lutere
Kaanton ke evaj
Roohe chaman bechne wale
Kaanton ke evaj
Roohe chaman bechne wale
Tu inke liye maut ka ailaan banega
Insaan ki aulad hai insaan banega
Tu hindu banega na musalman banega
Insaan ki aulad hai insaan banega