Sonu Nigam, Alka Yagnik, Prashant Samaddar
Tu Fiza Hai
in Fiza
LYRIC
Fiza fiza fiza hey fiza
Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahi
Tu ghata hai to phir kyun barasti nahi
Udti rehti hai tu panchhiyon ki tarah
Aa mere aashiyane mein aa
Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahi
Tu ghata hai to phir kyun barasti nahi
Udti rehti hai tu panchhiyon ki tarah
Main hawa hoon kahin bhi theharti nahi
Ruk bhi jaaun kahin par to rehti nahi
Maine tinke uthaye huye hain paron par
Aashiyana nahi hai mera
Ghane ek ped se mujhe
Jhonka koyi leke aaya hai
Sookhe ik patte ki tarahHawa ne har taraf udaya hai
Aa na aa
Hey aa na aa ik dafa
Is zameen se uthein
Paon rakhe hawa par zara sa udein
Chal chalein hum jahan koyi rasta na ho
Koyi rehta na ho koyi basta na ho
Kehte hain aankhon mein
Milti hai aisi jagah
Fiza fiza
Main hawa hoon kahin bhi theharti nahi
Ruk bhi jaaun kahin par to rehti nahi
Maine tinke uthaye huye hain paron par
Aashiyana nahi hai mera
Tum mile to kyun laga mujhe
Khud se mulakaat ho gayi
Kuchh bhi to kaha nahi magar
Zindagi se baat ho gayi
Aa na aa
Hey aa na aa sath baithein
Zara der to hath thaame rahein
Aur kuchh na kahein
Chhu ke dekhein to
Aankhon ki khamoshiyan
Kitni chup chaap hoti hain sargoshiyan
Sunte hain aankhon mein
Hoti hai aisi sada
Fiza fiza
Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahi
Tu ghata hai to phir kyun barasti nahi
Udti rehti hai tu panchhiyon ki tarah
Aa mere aashiyane mein aa
Main hawa hoon kahin bhi theharti nahi
Ruk bhi jaaun kahin par to rehti nahi
Maine tinke uthaye huye hain paron par
Aashiyana nahi hai mera