Aarti Mukherjee, Jaspal Singh

Shyam Teri Bansi Pukare Radha Naam

in Geet Gaata Chal

LYRIC

Shyam teri bansi pukare radha naam
Shyam teri bansi pukare Radha naam
Log karein Meera ko yoon hi badnaam

Shyam teri bansi pukare Radha naam
Shyam teri bansi pukare Radha naam
Log karein Meera ko yoon hi badnaam

Saanware ki bansi ko bajne se kaam
Sanvre ki bansi ko bajne se kaam

Jamuna ki leharein bansi batt ki chhaiyan
Kiska nahi hai kaho Krishna Kanhaiya
Jamuna ki leharein bansi batt ki chhaiyan
Kiska nahi hai kaho Krishna KanhaiyaShyam ka deewana to saara Brij dhaam
Shyam ka deewana to saara Brij dhaam
Log karein meera ko yoon hi badnaam

Saanware ki bansi ko bajne se kaam
Sanvre ki bansi ko bajne se kaam
Radha ka bhi Shyam
Woh to Meera ka bhi Shyam
Radha ka bhi Shyam
Woh to Meera ka bhi Shyam

Kaun jaane baansuriya kisko bulaye
Jiske mann bhaaye yeh usi ke gunn gaaye
Kaun jaane baansuriya kisko bulaye
Jiske mann bhaaye woh usi ke gunn gaaye
Kaun nahi, kaun nahi bansi ki dhun ka gulaam
Radha ka bhi Shyam
Woh to Meera ka bhi Shyam

Shyam teri bansi pukare Radha naam
Shyam teri bansi
Kanhaiya teri bansi pukare Radha naam
Log karein Meera ko yoon hi badnaam