Udit Narayan, Alka Yagnik

Shukriya Shukriya Mere Piya

in Hamara Dil Aapke Paas Hai

LYRIC

Shukriya Shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya
Shukriya shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya

Jaage sapne jaage armaan
Jaagi hai dhadkan
Kaisi duniya kya zamana
Tod har bandhan

Jaage sapne jaage armaan
Jaagi hai dhadkan
Kaisi duniya kya zamana
Tod har bandhan

Shukriya shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya

Kya kahun kya maine tumse milke paaya hai
Tum jo aaye zindagi mein rang aaya haiKya kahun kya maine tumse milke paaya hai
Tum jo aaye zindagi mein rang aaya hai

Aao tumko le chalun main dil ki raahon mein
Aaj humko manzilon ne khud bulaya hai
Shukriya shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya

Barkha badal choli anchal phool aur khushbu
Hum bhi yoon hi sath mein hain jaan le yeh tu
Shukriya shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya

Mere dil ka haal kya hai kya kahun tumse
Pyar itna paake mere hosh hain gumm se
Mere dil ka haal kya hai kya kahun tumse
Pyar itna paake mere hosh hain gumm se

Zindagi bhar pyar mera kam nahi hoga
Maang lo tum jaan bhi to gham nahi hoga
Shukriya shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya

Dharti ambar dariya sagar geet aur sargam
Mauj saahil rasta manzil sath hain yoon hum
Shukriya shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya
Shukriya shukriya shukriya mere piya
Jitne soye khwaab the sabko jaga diya