Asha Bhosle, Bhupinder

Saathi Tere Naam Ek Din

in Ustadi Ustad Se

LYRIC

Sathi tere naam ek din
Jeevan kar jaayenge
Sathi tere naam ek din
Jeevan kar jaayenge
Jeevan kar jaayenge

Tu hai mera khuda
Tu na karna daga
Tum bin mar jaayenge aa..

Poojata hoon tujhe peepal ki tarah
Pyaar tera mera ganga jal ki tarah
Dharti ambar mein tu
Dil ke mandir mein tuPhool patthar mein tu
Aur samandar mein tu
Tu hai mera khuda
Tu na karna daga
Tum bin mar jaayenge
Tum bin mar jaayenge

Sathi tere naam ek din
Jeevan kar jaayenge
Jeevan kar jaayenge

Khushbuon ki tarah tu mehakati rahe
Bulbulon ki tarah tu chehakati rahe
Dil ke har taar se aa rahi hai sada
Tu salamat rahe, bas yehi hai dua
Tu hai mera khuda
Tu na karna daga
Tum bin mar jaayenge
Tum bin mar jaayenge

Sathi tere naam ek din
Jeevan kar jaayenge
Jeevan kar jaayenge

Tu hai mera khuda
Tu na karna daga
Tum bin mar jaayenge
Tum bin mar jaayenge

Sathi tere naam ek din
Jeevan kar jaayenge
Jeevan kar jaayenge