Rahat Fateh Ali Khan, Rekha Bhardwaj
Rabba
in Zindagi 50-50
LYRIC
Socha na tha maine kabhi
Aisa bhi din aayega
Socha na tha maine kabhi
Aisa bhi din aayega
Jo khwaab meri aankhon mein tha
Ashkon mein beh jaayega
Ab to paani bhi pyaas ko
Meri bujha na paayega
Raaste mein hain andhere
Roshni na hai kahin
Door tak phaile ujaale
Phir bhi kuch dikhta nahi
Koi rasta to dikha de mujhe
Kisi raste se mila de mujhe
Koi kinara na mile
Rabba jaane kiski lagi bad-dua
Rabba tere sajde mein hai sar jhuka
Rabba, Rabba, Rabba
Sahil pe baith ke rait pe naam likhe
Sahil pe baith ke rait pe naam likhe
Meelon dhoondhe nazar
Saya na tera dikhe
Rabba jaane kiski lagi bad-dua
Rabba tere sajde mein hai sar jhuka
Rabba jaane kiski lagi bad-dua
Rabba tere sajde mein hai sar jhuka