Mohammad Rafi, Asha Bhosle

Raat Ke Humsafar

in An Evening In Paris

LYRIC

Raat ke humsafar
Thak ke ghar ko chale
Jhoomti aa rahi hai subah pyaar ki
Dekh kar samne roop ki roshani
Phir luti ja rahi hai subah pyaar ki

Sone waalon ko hanskar jagana bhi hai
Raat ke jaagton ko sulana bhi hai
Deti hai jaagne hi sadaa sath hi

Raat ke humsafar
Thak ke ghar ko chale
Jhoomti aa rahi hai subah pyaar ki
Dekh kar samne roop ki roshani
Phir luti ja rahi hai subah pyaar ki

Raat ne pyaar ke jaam bhar kar diyeAankhon aankhon se jo maine tumne piye
Hosh to ab talaq ja ke laute nahin
Hosh to ab talaq ja ke laute nahin
Aur kya la rahi hai subah pyaar ki

Raat ke humsafar
Thak ke ghar ko chale
Jhoomti aa rahi hai subah pyaar ki
Dekh kar samne roop ki roshani
Phir luti ja rahi hai subah pyaar ki

Kya kya vaade huye, kisne khayi kasam
Is nayi raah par humne rakhe kadam
Chhup saka pyaar kab hum chupaye to kya
Chhup saka pyaar kab hum chupaye to kya
Sab samajh pa rahi hai subha pyaar ki

Raat ke humsafar
Thak ke ghar ko chale
Jhoomti aa ha ha pyaar ki
Hmm pyaar ki, hmm pyaar ki