Mahendra Kapoor
Qamar Patli Nazar Bijli
in Kahin Din Kahin Raat
LYRIC
Qamar patli nazar bijli
Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Qamar patli nazar bijli
Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Yeh zulfon ki ghata kaali
Machalta jaise saawan
Badan aisa hai chikna ke
Phisalti hai nigahein
Tadap jaata hai dil apna
Chamakti hain jo baahein
Zameen jhoome kadam choome
Jawani ka aalamTumhi keh do ke aise mein
Tumhein kaise na chahein
Kareeb aakar kabhi sun lo
Hamare dil ki dhadkan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Qamar patli nazar bijli
Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Qamar patli
Nazar jiski padi tum par
Kaleja thaam lega
Ishaara tum jise kar do
Woh kab aaram lega
Magar mujhse tumhein dilbar
Koyi sikwa na hoga
Mera dil hai yeh lutkar bhi
Tumhara naam lega
Na chhootega kabhi mujhse
Wafa ka paak daaman
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Qamar patli nazar bijli
Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Yeh zulfon ki ghata kaali
Machalta jaise saawan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho