Udit Narayan
Papa Kehte Hain Bada Naam Karega
in Qayamat Se Qayamat Tak
LYRIC
Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ke meri manzil hai kahan
Baithe hain mil ke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Baithe hain mil ke sab yaar apne
Sabke dilon mein armaan yeh hai
Woh zindagi mein kal kya banega
Har ik nazar ka sapna yeh hai
Koi engineer ka kaam karegaBusiness mein koi apna naam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega
Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahaar
Mera to sapna hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahaar
Gaalon mein khilti kaliyon ka mausam
Aankhon mein jaadu, hothon mein pyar
Banda yeh khoobsurat kaam karega
Dil ki duniya mein apna naam karega
Meri nazar se dekho to yaaron
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega