Asha Bhosle, S. P. Balasubrahmanyam
O Milan Maujon Se Maujon Ka
in Tohfa
LYRIC
O milan maujon se maujon ka
Sangam baadal se baadal ka
Sadiyon ka pyar pal bhar mein kar lo
Pata nahi kal ka aa
O milan maujon se maujon ka
Pyasa chahe piye na paani
Nadiya utar jayegi
Phoolon ko koyi tode na tode
Kudrat ki saughatein
Saare jahaan ke liye
Chahat ki barsaatein
Jismon jaan ke liye
Sadiyon ka pyar pal bhar mein kar lo
Pata nahi kal ka aa
O milan maujon se maujon ka
Taakat kahan hai itni hawa mein
Titli gulon se udaa le
Toofaano se rukte nahi hain
Pyar ke hain yeh iraade
Chhedi hai rituon ne
Khushiyon ki shehnaiyan
Apne hi dil mein kyun
Bolo yeh tanhaiyan
Sadiyon ka pyar pal bhar mein kar lo
Pata nahi kal ka aa
O milan maujon se maujon ka
Sangam baadal se baadal ka