Pankaj Udhas, Sadhana Sargam

Na Kajre Ki Dhaar

in Mohra

LYRIC

Na kajre ki dhaar
Na motiyon ke haar
Na koyi kiya singar
Phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho

Na kajre ki dhaar
Na motiyon ke haar
Na koyi kiya singar

Man mein pyar bhara
Aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara
Tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho

Singar tera yauvanYauvan hi tera gehna
Singar tera yauvan
Yauvan hi tera gehna
Tu taazgi phoolon ki
Kya saadgi ka kehna
Ude khushbu jab chale tu
Ude khushbu jab chale tu
Bole to baje sitar

Na kajre ki dhaar
Na motiyon ke haar
Na koyi kiya singar
Phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho

Saari duniya harjayi
Tere pyar mein hai sachchayi
Saari duniya harjayi
Tere pyar mein hai sachchayi

Isliye chhod ke duniya
Teri oar khinchi chali aayi
Thi patthar toone chhoo kar
Thi patthar toone chhoo kar
Sona kar diya khara

Man mein pyar bhara
Aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara
Tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho

Tera angg sachcha sona
Muskan sachche moti
Tera angg sachcha sona
Muskan sachche moti

Tere honth hain madhushala
Tu roop ki hai jyoti
Teri soorat jaise moorat
Teri soorat jaise moorat
Main dekhun baar baar

Na kajre ki dhaar
Na motiyon ke haar
Na koyi kiya singar
Phir bhi kitni sundar ho
Tum kitni sundar ho

Man mein pyar bhara
Aur tan mein pyaar bhara
Jeevan mein pyaar bhara
Tum to mere priyavar ho
Tumhi to mere priyavar ho