Rangnath Jadhav
Marna Bhi Mohabbat Mein
in Azaad
LYRIC
Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya
Haan kehte hain jise ishq
Qayamat ki bala hai
Shola hai kabhi aur kabhi
Baad-e-saba hai
Haan ashqon ka samadar hai
To aahon ka khazana
Sunte chale aaye hai
Azal se yeh fasanaIs kisse ka lekin kabhi
Anjaam na aaya
Is kisse ka lekin kabhi
Anjaam na aaya
Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Ho kisi kaam na aaya
Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya
Haan marne ki mohabbat mein
Ada aur hi kuchh hai
Is zehar ke peene ka maza
Aur hi kuchh hai
Haan marte hain to marne ki
Shikayat nahi karte
Dilwale dikhawe ki
Mohabbat nahi karte
Ab tak to mohabbat mein
Yeh ilzaam na aaya
Ab tak to mohabbat mein
Yeh ilzaam na aaya
Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Ho kisi kaam na aaya
Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya
Haan hota na agar ishq to
Duniya bhi na hoti
Jeene ki kisi dil mein
Tamanna bhi na hoti
Haan bijali mein chamak
Taaron mein yeh noor na hota
Lehron ko machalna
Kabhi manzoor na hota
Kya lutf jo hothon pe
Yeh hi jaam na aaya
Kya lutf jo hothon pe
Yeh hi jaam na aaya
Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Ho kisi kaam na aaya
Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya
Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya