Lata Mangeshkar, Sonu Nigam, Yash Chopra
Kyun Hawa Aaj Yun Ga Rahi Hai
in Veer Zaara
LYRIC
Ek din jab savere savere
Surmai se andher ki chadar hata ke
Ek parbat ke takiye se
Suraj ne sar jo uthaya to dekha
Dil ki vaadi mein chahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
An-ginat beete lamhon ki kaliyaan
Mehakne lagi hain
Ankahi ansuni aarzu
Aadhi soyi huyi aadhi jaagi huyi
Aankhein malte huye dekhti hai
Lehar dar lehar mauj dar mauj
Behti huyi zindagi
Jaise har pal nayi aur phir bhi wohi
Haan wohi zindagi
Jiske daaman mein ek mohabbat bhi haiKoyi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai door jaana bhi hai
Aur yeh ehsaas hai
Waqt jharne sa behta hua ja raha hai
Yeh kehta huwa
Dil ki vaadi mein chahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
An-ginat beete lamhon ki kaliyaan
Mehakne lagi hain
Kyun hawa aaj yun ga rahi hai
Kyun hawa aaj yun ga rahi hai
Kyun fiza rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chandini din mein kyun chha rahi hai
Zindagi kis taraf ja rahi hai
Mere dil bata kya hai yeh silsila
Kyun hawa aaj yun ga rahi hai
Ga rahi hai ga rahi hai
Jahan tak bhi jayein nigahein
Baraste hain jaise ujale
Jahan tak bhi jayein nigahein
Baraste hain jaise ujale
Saji aaj kyun hain yeh raahein
Khile phool kyun hain nirale
Khushbuyein kaisi yeh beh rahi hain
Dhadkanein jaane kya keh rahi hain
Mere dil bata yeh kahaani hai kya
Kyun hawa aaj yun ga rahi hai
Ga rahi hai ga rahi hai
Yeh kiska hai chehra jise main
Har ek phool mein dekhta hoon
Yeh kiska hai chehra jise main
Har ek phool mein dekhta hoon
Yeh kiski hai awaz jisko
Na sun ke bhi main sun raha hoon
Kaisi yeh aahatein aa rahi hain
Kaise yeh khwab dikhla rahi hain
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyun hawa aaj yun ga rahi hai
Ga rahi hai ga rahi hai