Lata Mangeshkar, Shabbir Kumar

Kya Suraj Amber Ko

in Suhaagan

LYRIC

Kya suraj ambar ko chhod ke jaayega
Woh din kabhi na aayega
Kya phoolon se khushbu chheen li jaayegi
Yeh na kabhi ho paayega
Yeh hua to koyi na kisi pe yakeen karega
Pyar jahan se uth jaayega
Ho aha ha ha lala la la la la

Kya suraj ambar ko chhod ke jaayega

Karte ho kitna pyaar humein tum bolo to
Mere pyaar ko apne pyaar se tolo to
Pyaar ka vaada kab tak yaad rahega sanam
Apne aap ko bhool na jayenge jab tak hum

Hum jo bichhde
Aag ke samne hath ko thaam ke
Koyi bhi kasam nahi khayegaHo aha ha ha lala la la la la la

Kya suraj ambar ko chhod ke jaayega
Woh din kabhi na aayega

Premi prem ke path se kyun hat jaate hain
Shakk aata hai dil mein dil phat jaate hain
Pyaar jo kam karte hain wohi to jalte hain
Vishwason ke bal par hi ghar chalte hain

Tum jo badle
Mere pyaar ko dhokha mila to
Zinda na koyi mujhe paayega
Ho aha ha ha hoho ho ho aha ha ha

Kya suraj ambar ko chhod ke jaayega
Woh din kabhi na aayega
Kya phoolon se khushbu chheen li jaayegi
Yeh na kabhi ho paayega
Yeh hua to koyi na kisi pe yakeen karega
Pyar jahan se uth jaayega
Ho aha ha ha hoho ho ho aha ha ha
Lala la la lala la la
Lara lala lara lala