Sonu Nigam, Alka Yagnik
Kya Pyar Karoge Mujhse
in Kucch To Hai
LYRIC
Dil mera poochh raha hai tujhse
Kya pyar karoge mujhse mujhse
Aankhon mein, neendon mein, khwabon mein
Tera hi chehra hai ab to sanam
Yaadon pe mere khayalon pe
Tera hi pehra teri kasam
Saanson mein tu meri saanson mein
Bin tere jaanejaan kya zindagi
Dhadkan poochh rahi tujhse
Kya pyar karoge mujhse
Haan haan mujhse
Jaane na tu to yeh jaane na
Kitna mere dil chaha tujhe
Deewane maine to anjaneChhup ke duaon mein manga tujhe
Yeh marzi, yeh marzi rab ki hai
Jo mujhko jaaneman tu na mila
Chhodo bhi, chhodo bhi jaane do
Mujhko na tujhse koyi gila
CHahat poochh rahi hai tujhse
Kya pyar karoge mujhse
Haan haan mujhse
Dil mera poochh raha hai tujhse
Kya pyar karoge mujhse mujhse
Dil mera poochh raha hai tujhse
Kya pyar karoge mujhse
Haan haan mujhse
Hasti hai aise tu hasti hai
Jaise bahaaron mein khilti kali
Lagti hai tu mujhko lagti hai
Thodi thodi manchali
Pehle se main tujhpe marta tha
Kehne se darta tha yeh daastaan
Aankhon mein khwaabon mein neendon mein
Tu thi basi oh jaanejaan
Dhadkan poochh rahi hai tujhse
Kya pyar karoge mujhse
Haan haan haan mujhse
Ik pal mein na jaane na jaane
Barson ka afsana kaise bana
Anjana kal tha jo anjana
Aashiq mera ban gaya
Saanson ke ghar mein basaungi
Khushbu bana ke main tujhko sanam
Chahungi tujhko hi chahungi
Maine to li hai kasam
Chahat poochh rahi hai tujhse
Kya pyar karoge mujhse
Haan haan mujhse
Dil mera poochh raha hai tujhse
Kya pyar karoge mujhse
Haan haan haan mujhse