Udit Narayan, Hema Sardesai

Kehna Hai Tumse Kehna

in Mann

LYRIC

Aashiq ho to aisa
Mit jaate jo pyaar mein

Sau baar janam lein tere liye
Tere ishq mein mar jaayein
Jo kiya na ho kisi aashiq ne
Kuchh aisa kar jaayein

Sau baar janam lein tere liye
Tere ishq mein mar jaayein

Khamosh palkon tale
Sapne tumhaare palein
Tumhi ho nazar mein, jigar mein
Tumhi ho saanson meinTum ho dua mein, sada mein
Tumhi ho baaton mein
Kehna hai tumse kehna hai
Rehna hai dil mein rehna hai

Aao tumhein pyaar doon
Dono jahan vaar doon
Pari ho, sabaa ho, kali ho
Machalti shabnam ho
Koi nasha ho, fazaa ho
Suhana mausam ho
Kehna hai tumse kehna hai
Rehna hai dil mein rehna hai

Sau baar janam lein tere liye
Tere ishq mein mar jaayein
Jo kiya na ho kisi aashiq ne
Kuchh aisa kar jaayein
Sau baar janam lein tere liye
Tere ishq mein mar jaayein
Jo kiya na ho kisi aashiq ne
Kuchh aisa kar jaayein