Sulakshana Pandit, Yesudas

Kajre Ki Baati

in Sawan Ko Aane Do

LYRIC

Saajan yeh mat jaaniyo tum bichhure mohe chain
Jaise ban ki laakdi sulgat hoon din rain

Kajre ki baati ansuan ke tel mein
Aali main haar gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki baati ansuan ke tel mein
Aali main haar gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki baati

Chanchal se nainon mein kajal ko aanj kar

Tan ki suraahi mein yauvan ki haala
Chivan mein madhoshi angon mein jwala
Chhal chhal chhal chhalke jyun madra ka pyala
Gori tu laage hai poori madhushala
Nasha hi nasha hai is angoori bel mein
Pyala aur madira in donon ke mel mein
Birha ke phool hain jeevan ki bel mein
Aali main haar gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki baati