Mohammad Rafi

Kahin Na Kahin Dil Lagana Padega

in Kashmir Ki Kali

LYRIC

Kisi na kisi se, kabhi na kabhi
Kahin na kahin dil lagana padega
Kisi na kisi se, kabhi na kabhi
Kahin na kahin dil lagana padega

Ek se ek haseen chehre hain
Kis kis ko main dekhoon
Kisko inmein apna samjhoon
Sang main apne le loon

Dhoondh raha hoon main woh duniyaPyar jise kehte hain
Dhoondh raha hoon main woh duniya
Pyar jise kehte hain
Kaun woh kismat wale hain
Jo log wahan rehte hain
Mujhko mere dil leke wahin chal
Mujhko mere dil leke wahin chal
Aaye jahan hath koi reshmi aanchal
Kisi na kisi se, kabhi na kabhi
Kahin na kahin dil lagana padega
Kisi na kisi se, kabhi na kabhi
Kahin na kahin dil lagana padega

Aisi nazuk ho woh jiska
Shabnam munh dhoti ho
Chaand bhi sadke hota ho
Jab raat ko woh soti ho
Aankh sharabi, gaal gulabi
Aankh sharabi, sharabi gaal gulabi
Pyar se sanwar de jo zindagi meri
Kisi na kisi se, kabhi na kabhi
Kahin na kahin dil lagana padega
Haye kisi na kisi se, kabhi na kabhi
Kahin na kahin dil lagana padega