Kavita Krishnamurthy, Anuradha Paudwal, Manohar Shetty

Jo Pyaar Karta Hai

in Yeh Raaste Hain Pyaar Ke

LYRIC

Kisi ki aankhon ka kajal ban jata hai
Kisi ki zulfon ka baadal ban jata hai
Kisi ke teeron ka ghayal ban jata hai
[Jo pyaar karta hai paagal ban jata hai
Paagal ban jata hai] x 2

Kisi ki aankhon ka kajal ban jata hai
Kisi ki zulfon ka baadal ban jata hai
Kisi ke teeron ka ghayal ban jata hai

Pyaar mein jeena pyaar mein marna
Aaj hi kar lo jo hai karna
Der bahut ho jaayegi warna
Aaj ka din jo guzar gaya
To kal ban jata hai
Aaj ka din jo guzar gayaTo kal ban jata hai
Jo pyaar karta hai paagal ban jata hai
Paagal ban jata hai

Yaadein, umangein, armaan, sapne
Sabke yahan ghar apne apne
Yeh sach hai yeh mana sabne
Shahar yeh dil ka ujade
To jangal ban jata hai
Shahar yeh dil ka ujade
To jangal ban jata hai
Jo pyaar karta hai paagal ban jata hai
Paagal ban jata hai

Dil deta hai jaan leta hai
Amrit mein vish bhar deta hai
Jeena mushkil kar deta hai
Pyaar kabhi har mushkil ka
Hal ban jata hai
Pyaar kabhi har mushkil ka
Hal ban jata hai
Jo pyaar karta hai paagal ban jata hai
Paagal ban jata hai

Kisi ki aankhon ka kajal ban jata hai
Kisi ki zulfon ka baadal ban jata hai
Kisi ke teeron ka ghayal ban jata hai
[Jo pyaar karta hai paagal ban jata hai
Paagal ban jata hai] x 3