Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
Jiske Sapne Hame Roz Aate Rahe
in Geet
LYRIC
Jiske sapne hame roz aate rahe
Dil lubhaate rahe
Yeh bata do bata do
Yeh bata do kahin tum
Wohi to nahi wohi to nahi
Ho jiske sapne hame roz aate rahe
Dil lubhaate rahe
Yeh bata do kahin tum wohi to nahi
Jab bhi jharnon se maine suni raagini
Jab bhi jharnon se maine suni raagini
Main yeh samjha tumhari hi paayal baji
Ho jiski paayal pe
Ho jiski paayal pe hum dil lutaate rahe
Jaan lutaate rahe
Yeh bata do kahin tum wohi to nahiWohi to nahi
Jiske roz roz geet hum gaate rahe
Gungunate rahe
Yeh bata do kahin tum wohi to nahi
Wohi to nahi
Jab bhi thandi hawa gungunati chali
Jab bhi thandi hawa gungunati chali
Main yeh samjhi tumhari murli baji
Ho jiski murli pe
Ho jiski murli pe hum lehrate rahe
Balkhate rahe
Yeh bata do kahin tum wohi to nahi
Wohi to nahi
Ho jiske sapne hame roz aate rahe
Dil lubhaate rahe
Yeh bata do kahin tum wohi to nahi
Wohi to nahi
Ye mehakte behakte huye raaste
Khul gaye aap hi pyaar ke vaaste
De rahi hai pata madd bhari wadiyan
Jaise pahle bhi hum tum mile hon yahan
Ho kitne janmon se
Ho kitne janmon se jisko bulaate rahe
Aazmaate rahe
Yeh bata do kahin tum wohi to nahi
Wohi to nahi
Ho jiske sapne hame roz aate rahe
Dil lubhaate rahe
Yeh bata do kahin tum wohi to nahi
Wohi to nahi
Ho tum wohi to nahi
Ho tum wohi to nahi
Wohi to nahi wohi to nahi