Sneha Pant, Kamaal Khan
Ja Sanam Mujhko Hai Pyaar Pe Aitbaar
in Na Tum Jaano Na Hum
LYRIC
Ja sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezar
Ja sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezar
Main itni door chala jaaunga
Tujhe yaad bhi na aaunga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaunga
Ja sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezar
Ja magar mud ke tu dekh le ek baar
Main karoongi tera intezar
Main itni door chala jaaunga
Tujhe yaad bhi na aaunga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaunga
Tumse hi thi meri zindagi
Lekin yeh kya hua
Tumse hi thi meri zindagi
Lekin yeh kya hua
Tum bin bhi main jee raha hoon
Main kaisa hoon bewafa
Ja sanam aayegi phir laut ke yeh bahaar
Main karoongi tera intezar
Haan sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezar
Main itni door chala jaaunga
Tujhe yaad bhi na aaunga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaunga
Main itni door chala jaaunga
Tujhe yaad bhi na aaunga
Shayad kabhi kahin tumhein meri mile khabar
Shayad kabhi kahin tumhein meri mile khabar
Kar lena yaad bas mujhe mumkin ho yeh agar
Ja sanam tere saath meri jaan hai mere yaar
Main karoongi tera intezar
Ja sanam mujhko hai pyaar pe aitbaar
Main karoongi tera intezar
Main itni door chala jaaunga
Tujhe yaad bhi na aaunga
Yeh baat hai aur jaanam ke
Tujhe main bhool na paaunga