Kishore Kumar

Ja Ja Ja Mujhe Na Ab Yaad Aa

in Prem Nagar

LYRIC

Khaali ghar ki deewaron pe
Sheeshe ki tasveerein hain
Main yeh tod ke rakh doonga
Yeh yaadon ki zanjeerein hain

Ja ja ja mujhe na ab yaad aa
Ja ja ja mujhe na ab yaad aa
O.. mujhe bhool jaane de, jaane de
Ja ja ja mujhe na ab yaad aa

Mere labon pe yeh kahani kyon rahe
Mere labon pe yeh kahani kyon rahe
Tu na rahi teri nishani kyon rahe
Yeh jawani kyon rahe
Zindgani kyon rahe..
Ja ja ja mujhe na ab yaad aa
Mujhe bhool jaane de, jaane de
Ja ja ja mujhe na ab yaad aa

Ujdaa mahal yeh veeranon ki tarah…
Ujdaa mahal yeh veeranon ki tarah
Ismein phiroon main deewano ki tarah
Anjanon ki tarah
Beganon ki tarah..
Ja ja ja mujhe na ab yaad aa
O.. mujhe bhool jaane de, jaane de
Ja ja..