Asha Bhosle
Hum Pe Ilzam Yeh Kyun Hai
in Kahin Din Kahin Raat
LYRIC
Hum pe ilzam yeh kyun hai
Ke mohabbat ki hai
Hum pe ilzam yeh kyun hai
Ke mohabbat ki hai
Humne to aapko pooja hai
Ibaadat ki hai
Hum pe ilzam yeh kyun hai
Ke mohabbat ki hai
Humne kab aapse maanga hai
Wafaon ka sila
Humne kab aapse maanga hai
Wafaon ka sila
Kab suna aapne humse
Koyi shikwa ya gila
Kab suna aapne humse
Koyi shikwa ya gila
Humne kab dil ke tadapne ki
Shikayat ki hai
Humne kab dil ke tadapne ki
Shikayat ki hai
Humne to aapko pooja hai
Ibaadat ki hai
Gham nahi iska
Agar aap hamare na huye
Gham nahi iska
Agar aap hamare na huye
Gham to yeh hai ke
Tumhare bhi tumhare na huye
Gham to yeh hai ke
Tumhare bhi tumhare na huye
Aapne jinke liye aaj
Yeh haalat ki hai
Aapne jinke liye aaj
Yeh haalat ki hai
Humne to aapko pooja hai
Ibaadat ki hai
Hum pe ilzam yeh kyun hai
Ke mohabbat ki hai