Mohammed Rafi

Hazaron Rang Badlega Zamana

in Shirin Farhad

LYRIC

Na hanso pyar pe
Nadaan zamane walon
Kya mitaoge mohabbat ko
Mitane walon

Hazaron rang badlega zamana
Hazaron rang badlega zamana
Na badalega mohabbat ka fasana
Mohabbat ka fasana

Pighal jaate hai patthar mom hokar
Pighal jaate hai patthar mom hokar
Simat jaate hain katre mein samandar
Mohabbat chhedti hai jab tarana
Mohabbat chhedti hai jab tarana
Na badalega mohabbat ka fasana
Mohabbat ka fasanaHazaron rang badlega zamana

Ude to chaand taare to laaye
Ude to chaand taare to laaye
Gire to aag paani main lagaye
Banaye bijliyon pe aashiyana
Banaye bijliyon pe aashiyana
Na badalega mohabbat ka fasana
Mohabbat ka fasana
Hazaron rang badlega zamana

Mohabbat maut se bhi kya maregi
Mohabbat maut se bhi kya maregi
Zamane se mohabbat kya daregi
Ke iski thokron mein hai zamana
Ke iski thokron mein hai zamana
Na badalega mohabbat ka fasana
Mohabbat ka fasana
Hazaron rang badlega zamana

Na badalega mohabbat ka fasana
Mohabbat ka fasana
Hazaron rang badlega zamana
Hazaron rang badlega zamana