Lata Mangeshkar, Mukesh, Mahendra Kapoor

Har Dil Jo Pyar Karega

in Sangam

LYRIC

Har dil jo pyar karega woh gana gayega
Har dil jo pyar karega woh gana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana

Aap hamare dil ko chura ke
Aankh churaye jaate hain
Yeh ik tarfa rasam-e-wafa hum

Har dil jo pyar karega woh gana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayegaDeewana

Bhooli bisri yaadein meri
Hanste gaate bachpan ki
Raat biraat chali aati hain
Neend churane nainan ki
Ab keh doongi karte karte
Kitne savan beet gaye
Jaane kab in aankhon ka sharmana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana

Har dil jo pyar karega woh gana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana

Apni apni sabne keh li
Lekin hum chup chaap rahe
Dard paraya jisko pyara
Woh kya apni baat kahe
Khamoshi ka yeh afsana
Reh jayega baad mere
Apna ke har kisi ko begana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana
Deewana
Deewana
Deewana