Lata Mangeshkar
Guzra Hua Zamana
in Shirin Farhad
LYRIC
Bhool jaana meri wafaon ko
Bakhsh dena meri khataon ko
Bakhsh dena meri khataon ko
Guzra hua zamana
Aata nahi dobara
Hafiz khuda tumhara
Guzra hua zamana
Aata nahi dobara
Khushiyan thi char pal ki
Aansu hain umra bhar ke
Tanhaiyon mein ab
Royenge yaad karke
Woh waqt jo ke humne
Woh waqt jo ke humneIk sath hai guzara
Hafiz khuda tumhara
Meri kasam hai mujhko
Tum bewafa na kehna
Majboor thi mohabbat
Sab kuchh pada hai sehna
Tufaan hai zindagi ka
Tufaan hai zindagi ka
Ab aakhiri sahara
Hafiz khuda tumhara
Hafiz khuda tumhara
Mere liye sehar bhi
Aayi hai raat ban kar
Nikla mera janaza
Meri baraat ban kar
Achchha hua jo tumne
Dekha na yeh nazara
Hafiz khuda tumhara