Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Gori Kalai Kalai Mein Kangana
in Yeh Dillagi
LYRIC
Gori kalai kalai mein kangana
Haaye kangana ne liya tera naam
O sajna
Seene mein dhadkan hai
Dhadkan mein chahat hai
Chahat ne liya tera naam
O sajni
Ho Ram jaane aise ghazab hua kaise
Kaise kahun pehle kabhi
Aisi to haalat na thi
Teri kasam mujhko sanam
Koyi bhi chahat na thi
Ho maine kaha toone suna
Dilkash fasana bana
Deewangi badhne lagiAchcha bahana bana
Pairon mein payal hai
Payal mein ghunghru
Haaye ghunghru ne liya tera naam
Seene mein dhadkan hai
Dhadkan mein chahat hai
Chahat ne liya tera naam
O sajni
Maine sanam li hai kasam
Vaada na todunga main
Roothe bhale saara jahan
Daaman na chhodunga main
Ho rehna mujhe saari umar
Palkon ke saaye tale
Bechaniyan kehne lagi
Aake laga le gale
Hothon pe naghme hain
Naghmon mein sargam hai
Sargam ne liya tera naam
O sajni
Gori kalai kalai mein kangana
Haaye kangana ne liya tera naam
O sajna
Ho Ram jaane aise ghazab hua kaise
Ke dil pe chala na koyi zor zor zor