Salma Agha

Fiza Bhi Hai Jawan Jawan

in Nikaah

LYRIC

Fiza bhi hai jawan jawan
Hawa bhi hai rawaan rawaan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan
Fiza bhi hai jawan jawan

Pukarte hain door se
Woh kaafile bahaar ke
Bikhar gaye hain rang se

Lehar lehar ke honth par
Wafa ki hain kahaniyan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan
Fiza bhi hai jawan jawan

Bujhi magar bujhi nahi
Na jaane kaisi pyaas haiKaraar dil se aaj bhi
Na door hai na paas hai

Yeh khel dhoop chhanv ka
Yeh kurbatein yeh dooriyan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan
Fiza bhi hai jawan jawan

Har ek pal ko dhoondhta
Har ek pal chala gaya
Har ek pal firaaq ka
Har ek pal visaal ka

Har ek pal ghuzar gaya
Bana ke dil pe ik nishaan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan

Fiza bhi hai jawan jawan
Hawa bhi hai rawaan rawaan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan
Fiza bhi hai jawan jawan