Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Ek Ghar Banaunga Tere Ghar Ke Samne

in Tere Ghar Ke Samne

LYRIC

Tere ghar ke samne
Ek ghar banaunga tere ghar ke samne
Duniya basaunga tere ghar ke samne
Ek ghar banaunga tere ghar ke samne

Ghar ka banana koyi aasan kaam nahi
Duniya basana koyi aasan kaam nahi
Dil mein wafayein hon to tufan kinara hai
Bijli hamare liye pyar ka ishara hai

Tann mann lutaunga tere ghar ke samne
Duniya basaunga tere ghar ke samne
Ek ghar banaunga tere ghar ke samne

Kehte hain pyar jise dariya hai aag ka
Ya phir nasha hai koyi jeewan ke raag ka
Dil mein jo pyar ho to aag bhi phool hai
Sachchi lagan jo ho to parbat bhi dhool hai

Taare sajaunga tere ghar ke samneDuniya basaunga tere ghar ke samne
Ek ghar banaunga tere ghar ke samne

Kaanton bhare hain lekin chahat ke raste
Tum kya karoge dekhein ulfat ke vaaste
Ulfat mein taj chhoote
Yeh bhi tumhein yaad hoga
Ulfat mein taj bane
Yeh bhi tumhein yaad hoga

Main bhi kuchh banaunga tere ghar ke samne
Dekhein
Duniya basaunga tere ghar ke samne

Ek ghar banaunga tere ghar ke samne
Duniya basaunga tere ghar ke samne
Ek ghar banaunga tere ghar ke samne
Duniya basaunga tere ghar ke samne
Ek ghar banaunga tere ghar ke samne