Lata Mangeshkar

Dil To Hai Dil

in Muqaddar Ka Sikandar

LYRIC

Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje
Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyar kya keeje
Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje

Yaadon mein teri khoyi
Raaton ko main na soyi
Haalat yeh mere man ki

Chhaye hain man pe mere
Madhosh naina tere
Ghere hain tan ko mere
Teri baahon ke ghere
Doori sahi na jaaye
Chain kahin na aaye
Chalna hai ab to teri
Palkon ke saaye saaye
Bas na chale re
Shaam savere leke tera naam
Dil dhadkta hai baar-baar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje
Aa gaya jo kisi pe pyaar kya keeje
Dil to hai dil, dil ka aitbaar kya keeje