Mohammed Rafi

Dil Par Hua Aisa Jadoo

in Mr And Mrs 55

LYRIC

Ae ji Dil par hua aisa jadoo
Tabiyat tabiyat machal machal gayi
Nazrein mili kya kisi se
Ke haalat haalat badal badal gayi

Dil par hua aisa jadoo
Tabiyat machal machal gayi
Nazrein mili kya kisi se
Haalat badal badal gayi

Kal tak hamara na
Poochh kaisa haal tha
Milti kahin aankh
Dil ko yeh malaal tha

Kal tak hamara na
Poochh kaisa haal tha
Milti kahin aankh
Dil ko yeh malaal tha

Usne jo dekha
To hasarat nikal gayi
Sun pyare sun pyare
Apni to kismat badal gayi

Dil par hua aisa jadoo
Tabiyat machal machal gayi
Nazrein mili kya kisi se
Haalat badal badal gayi

Kaisi hai ulfat ki dillagi yeh humnashin
Woh ho gayi meri aur use khabar nahi
Kaisi hai ulfat ki dillagi yeh humnashin
Woh ho gayi meri aur use khabar nahi

Zalim mohabbat bhi
Kya chaal chal gayi
Sun pyare sun pyare
Apni to kismat badal gayi

Dil par hua aisa jadoo
Tabiyat machal machal gayi
Nazrein mili kya kisi se
Haalat badal badal gayi

Milti hai aahat si pyaare uske paanv ki
Dil mein chamakti hain bijliyan adaon ki
Milti hai aahat si pyaare uske paanv ki
Dil mein chamakti hain bijliyan adaon ki

Hoga ujala ke ab raat dhal gayi
Sun pyare sun pyare
Apni to kismat badal gayi

Dil par hua aisa jadoo
Tabiyat machal machal gayi
Nazrein mili kya kisi se
Haalat badal badal gayi

Dil par hua aisa jadoo
Tabiyat machal machal gayi
Nazrein mili kya kisi se
Haalat badal badal gayi