Poornima

Dil Mera Udaas Hai

in Angrakshak

LYRIC

Dil mera udaas hai
Bas teri talaash hai
Aaye nahi koyi raah nazar
Phas gayi aake main kahan
Arre phas gayi aake main kahan

Dil mera udaas hai
Bas teri talaash hai
Aaye nahi koyi raah nazar

Pinjre mein kaid ho gayi
Udne wali maina
Pinjre mein kaid ho gayi
Udne wali maina

Zalim hai sayyad bada
Haar gayi main dilbar ab toAaye nahi ek pal chaina
Bheeg rahe hain yaad mein teri
Rote mere bekal naina

Zindagi hataash hai
Bas teri talaash hai
Aaye nahi koyi raah nazar
Phas gayi aake main kahan
Phas gayi aake main kahan

Hum raahi sun meri sada
Dekh mujhe aake
Hum raahi sun meri sada
Dekh mujhe aake

Kat’ti nahi bedard ghadi
Aisa na ho jaan ganwa doon
Zulmo sitam se ghabra ke
Koyi suna de mera sandesa
Mere sanam tujhko jaake

Dekhne ki pyaas hai
Ho bas teri talaash hai
Aaye nahi koyi raah nazar
Phas gayi aake main kahan
Arre phas gayi aake main kahan