Vipin Sachdeva, Anuradha Paudwal, Vipin Desai
Dil Kyon Dhadakta Hai
in Jaanam
LYRIC
Dil kyon dhadakta hai
Kyon pyar hota hai
Dil kyon dhadakta hai
Kyon pyar hota hai
Seene mein dard yeh kyon
Baar baar hota hai
Dil kyon dhadakta hai
Kyon pyar hota hai
Dil mein agar apne hoti na yeh dhadkan
To zindagi ko hum pehchante kaise
Milte to hum dono, par ajnabi rehte
Yeh pyar ki baatein hum jaante kaise
Har saans yeh kehti, tu paas mere rehti
Phir bhi mujhe tera intezar rehta haiDil kyon dhadakta hai
Kyon pyar hota hai
Seene mein dard yeh kyon
Baar baar hota hai
Ab to nahi milti apni khabar mujhko
Tere khayalon mein hum is kadar khoye
Padhkar kitabon ko raatein guzaarein hum
Jabse mohabbat ki jee bhar nahi soye
Is umra sabka yeh haal hota hai
Kyon pyar hota hai, kyon pyar hota hai
Dil kyon dhadakta hai
Kyon pyar hota hai
Seene mein dard yeh kyon
Baar baar hota hai