Hariharan, Kavita Krishnamurthy

Dil Ka Koi Tukda Kabhi

in Kya Kehna

LYRIC

Dil ka koi tukda kabhi
Dil se juda hota nahi
Apna koi jaisa bhi ho
Apna hai woh dooja nahi
Yehi woh milan hai
Jo sach-much hai
Dil ka karaar kya kehna
Khile khile chehron se aaj

Aye dil laaya hai bahaar
Apnon ka pyar kya kehna
Mile hum chhalak utha
Khushi ka khumar kya kehna

Kuchh apne hi tak yun nahi
Yeh hai sawal sabke liye
Jeena hai to jag mein jiyoBan ke misaal sabke liye
Dekho kaisa mehak raha
Pyar bhari baahon ka haar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzar kya kehna

Aye dil laaya hai bahaar
Apnon ka pyar kya kehna
Mile hum chhalak utha
Khushi ka khumar kya kehna

Jo ho gaya so ho gaya
Logon se tu darna nahi
Sathi tere hain aur bhi
Duniya mein tu tanha nahi
Saamna karenge milke chaahein dus hon
Chaahein hazaar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzar kya kehna

Aye dil laaya hai bahaar
Apnon ka pyar kya kehna
Mile hum chhalak utha
Khushi ka khumar kya kehna

Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzar kya kehna
Khile khile chehron se aaj
Ghar hai mera gule gulzar kya kehna