Anuradha Paudwal, Babul Supriyo

Dhai Akshar Prem Ke Title Song

in Dhaai Akshar Prem Ke

LYRIC

Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya
Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya

Pal bhar mein jaadu kya ho gaya hai
Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya
Kya maine paya kya kho gaya hai

Pal bhar mein jaadu kya ho gaya hai
Kya maine paya kya kho gaya hai
Sharm si aaye kaise bataun
Tu padh le sajan meri aankhon mein
Dhai akshar prem ke
Dhai akshar prem ke

Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya
Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya

Ruth ne sajayi phoolon ki doliyan
Bolo tum bhi bolo kuchh meethi boliyan
Hanse kyun kaajal ude kyun aanchal
Mausam ko sab hai pata
Jaane kidhar se chhup ke nazar se
Dil pe koyi likh jaaye
Dhai akshar prem ke
Dhai akshar prem ke

Tadpana ghabrana sharmana ishq hai
Dilbar ki chahat mein mar jaana ishq hai
Koyi na jaane hain sab deewane
Ishq ne hai sabko maara
Aag mein jal gaya ek parwana
Keh ke jalti shama se
Dhai akshar prem ke
Dhai akshar prem ke

Pal bhar mein jaadu kya ho gaya hai
Kya maine paya kya kho gaya hai
Sharm si aaye kaise bataun
Tu padh le sajan meri aankhon mein
Dhai akshar prem ke
Dhai akshar prem ke

Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya
Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya

Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya
Jind mahiya jind mahiya
Mere dhol sipahiya