Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Dekho Rootha Na Karo
in Tere Ghar Ke Samne
LYRIC
Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo
Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo
Chehra to laal hua
Kya kya haal hua
Is adaa par teri
Main to paamal hua
Tum bigadne jo lago
Aur bhi haseen lago
Hum na bolenge kabhiTum sataya na karo
Dekho rootha na karo
Jaan par meri bani
Aap ki thehri hansi
Haaye main jaan gayi
Pyar ki fitnagari
Dil jalane ke liye
Thandi aahein na bharo
Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi
Teri khushboo ne mere
Hosh bhi chheen liye
Hai khushi aaj hamein
Tere pehlu mein gire
Dil ki dhadkan pe zara
Phool sa hath rakho
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo
Dekho rootha na karo
Kya kahega yeh sama
In raahon ka dhuan
Laaj aaye mujhe
Mujhko laaye ho kahan
Hum tumhein maan gaye
Tum bade woh ho hato
Dekho rootha na karo
Baat nazron ki suno
Hum na bolenge kabhi
Tum sataya na karo
Dekho rootha na karo